Rahmat-e-Zuljalal Qudsiyon ka jamaal
Bekaraan be-misaal M u h a m m a d
Aasmanon sa qad Subah jaisa wajood
Pas bhi pesh aafreen Ghaib-e-asl-e-shuhood
Jis ki chup bhi khateeb Jis ka dukh bhi tabeeb aabru-e-kamaal M u h a m m a d
Jis ke darbar mein Hukm-e-Quran chale
Jis ki raftar mein Nabz-e-dauran chale
Rang paani ko de Zindagani ko de khubsurat maal M u h a m m a d
Dhadkanon mein sunoon Uske qadmon ki chaap
Ek uchat-ti nazar Dhoye umron ke paap
Deed-e-Haq jis ki deed Waqt jis ka mureed jis ka farda bhi haal M u h a m m a d
Sabr us ki asaas Faqr us ka libaas
Haath khaali magar Do jahan uske paas
Us ke faaqe raees Gham-zadon ka anees tuhi-daston ka maal M u h a m m a d
Jhoom uthe arsh bhi Jab tashahhud padhe
Sehan-e-Firdous mein Woh tahajjud padhe
Haq-numa Haq jawaz Ishq jiski namaz husn jis ka khayal M u h a m m a d
Shaakh-e-gul de gaya Taziyanay ke saath
Faqr bhi rakh diya Har khazanay ke saath
Jab hon dukh samne Aaye woh thaamne hijr jis ka wisaal M u h a m m a d
Kibriya ka mureed Anbiya ka imam
Us pe lakhon durood Us pe lakhon salam
Us ka waada yaqeen Uski chahat bhi deen sharh-e-deen-e-uski aal M u h a m m a d





