Raah pur-khar hai kya hona hai Paun afgaar hai kya hona hai
Khushk hai khoon ke dushman-e-zaalim Sakht khoon-khwaar hai kya hona hai
Hum ko zid kar wahi karna jis se Dost bezaar hai kya hona hai
Tan ki ab kaun khabar le hai hai Dil ka aazaar hai kya hona hai
Meethe sharbat de maseeha jab bhi Zid hai inkaar hai kya hona hai
Dil ke teemaar hamara karta Aap beemar hai kya hona hai
Par kate tang qafas aur bulbul Nau giraftar hai kya hona hai
Chup ke logon se kiye jis ke gunah Woh khabardaar hai kya hona hai
Are o mujrim-e-bepurwa dekh Sar pe talwar hai kya hona hai
Tere beemar ko mere eesa Ghash lagataar hai kya hona hai
Nafs pur-zor ka woh zor aur dil Zer hai zaar hai kya hona hai
Kaam zindaan ke kiye aur hamein Shauq-e-gulzaar hai kya hona hai
Haaye re neend musafir teri Kooch taiyaar hai kya hona hai
Door jaana hai raha din thoda Raah dushwaar hai kya hona hai
Ghar bhi jaana hai musafir ke nahin Mat pe kya maar hai kya hona hai
Jaan halkaan hui jaati hai Baar sa baar hai kya hona hai
Paar jaana hai nahin milti naao Zor par dhaar hai kya hona hai
Raah to tegh par aur talwon ko Gila-e-khaar hai kya hona hai
Roshni ki hamein aadat aur ghar Teera-o-taar hai kya hona hai
Beech mein aag ka dariya hail Qasd us paar hai kya hona hai
Is kadi dhoop ko kyon kar jhelein Shola zan naar hai kya hona hai
Haaye bigdi to kahan aa kar naao Ain manjh-dhaar hai kya hona hai
Kal to deedar ka din aur yahan Aankh bekaar hai kya hona hai
Munh dikhane ka nahin aur sahar Aam darbaar hai kya hona hai
Un ko raham aaye to aaye warna Woh kadi maar hai kya hona hai
Le woh hakim ke sipahi aaye Subah izhaar hai kya hona hai
Waan nahin baat banane ki majaal Chaara iqraar hai kya hona hai
Saath walon ne yahin chhod diya Be-kasi yaar hai kya hona hai
Aakhri deed hai aao mil lein Ranj bekaar hai kya hona hai
Dil hamein tum se lagana hi na tha Ab safar baar hai kya hona hai
Jaane walon pe yeh rona kaisa Banda naachaar hai kya hona hai
Naz'a mein dhyan na bat jaaye kahin Yeh abas pyaar hai kya hona hai
Is ka gham hai ke har ik ki soorat Gale ka haar hai kya hona hai
Baatein kuch aur bhi tum se karte Par kahan waar hai kya hona hai
Kyon Raza kudhte ho hanste utho Jab woh Ghaffaar hai kya hona hai





