Qausain ke jalwe jo zameen par utar aaye Kalma padhein kankar, kabhi chal ke shajar aaye
Jis samt bhi uthi hain woh mazaagh nigahaein Ghaib aur shuhood ek hi samt mein nazar aaye
Pahuncha hi kahan un ki haqeeqat ko koi bhi Jaisi thi nazar jis ki woh waise nazar aaye
Apni nazar apne ko dikhayi nahi deti Jo noor-e-Khuda ka hai woh kyun kar nazar aaye
Kitne hi hijabon mein nihan zaat na hogi Jab naam mein bhi meem ka parda nazar aaye
Woh lamhe bhi shauq aaye khayal-e-Shah-e-Deen mein Gum itne hue hosh mein hum jis qadar aaye





