Qayamat hai ab intezar-e-Madinah Ilahi! dikha phir dayar-e-Madinah
Meri rooh aaina-dar-e-Madinah Mere deedah-o-dil nisar-e-Madinah
Isi aarzu mein mita ja raha hoon Meri khaak ho ham-kenar-e-Madinah
Shafa'at Musallam, jo mil jaaye mujh ko Pae dafn, qurb-o-jawar-e-Madinah
Sitam ka nishana meri zindagi hai Karam ki nazar Shahryar-e-Madinah
Mu'attar hui jaan, khila ghuncha-e-dil Chali jab naseem-e-bahar-e-Madinah
Yeh doori nahi, had-e-paas-e-adab hai Idhar main, udhar Tajdar-e-Madinah
Piya tha bas ek jaam us maikade se Nahi toot-ta ab khumar-e-Madinah
Tasawwur mein hai aamad-o-raft Shah ki Khada hoon sar-e-rahguzar-e-Madinah
Usay mil gayi deen-o-dunya ki daulat Hawa jo dil se khwastgar-e-Madinah
Laga loon ga aankh surma samajh kar Agar haath aaye ghubar-e-Madinah
Ubharne ko hain sabz gumbad ke jalway Zara sabr ae be-qarar-e-Madinah
Naseer apni koshish nahi kaam aati Bulatay hain khud Tajdar-e-Madinah





