Qarz sunnat-o-Quran ka naadahinda hoon Maaf kar dijiye Aqa sharminda hoon
Aansu durood bhejein saansein parhein salam Kitni qeemti aab-o-hawa mein zinda hoon
Mera mustaqbil hai mere maazi mein Sadiyon qabl ki aawaz-e-aayinda hoon
Ja baithoon aksar un ki deewaron par Shahr-e-hijr-e-Nabi ﷺ ka ek parinda hoon
Lafzon se tameer karoon mein naat mahal Shayar kya hoon adna sa karinda hoon
Munkar Nakeer mera istiqbal karo Khair-ul-Bashar ke qadmon ka bashinda hoon
Dho gayi saare ranj Muzaffar ek nazar Andhiyaron ki bheed mein bhi taabinda hoon





