We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Qafle Ne Sue Taiba Kamar Arai KiNot Verified

Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi

Qafle ne su-e-Taibah kamar-ara'i ki Mushkil aasaan Ilahi meri tanhai ki


Laaj rakh li tama-e-afw ke sauda'i ki Ae main qurban mere Aaqa bari Aaqa'i ki


Farsh ta Arsh sab aina-e-zamair hazir Bas qasam khaiye ummi teri dana'i ki



Get Lyrics On-The-Go! Download Our App Now!

Get it on Google Play


Shash jihat samt-e-muqabil shab-o-roz ek hi haal Dhoom wan-najm mein hai aap ki bina'i ki


Paanch sau saal ki raah aisi hai jaise do gaam Aas hum ko bhi lagi hai teri shuno'ai ki


Chand ishare ka hila hukm ka bandha suraj Wah kya baat Shaha teri tawana'i ki


Tang thehri hai Raza jis ke liye wus'at-e-Arsh Bas jagah dil mein hai us jalwa-e-harja'i ki

Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah