We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Pursaan Amal Paish KhudaNot Verified

Muzaffar Warsi

Pursan-e-amal pesh-e-Khuda koi na hoga Us Rahmat-e-Alam ke siva koi na hoga



Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play


Firdous-e-bareen tak jo meri qabr na khodi Ae gorkano mujh se bura koi na hoga


Allah ko bhi un ke tawassul se pukaaron Un jaisa madadgar-e-dua koi na hoga


Jaaunga sar-e-hashr duroodon mein lipat kar Us dhoop mein hamdard mera koi na hoga


Dil pesh karunga main Shah-e-Kon-o-Makaan ko Jannat mein agar Ghaar-e-Hira koi na hoga


Yeh rahguzar-e-ishq-e-Muhammad ﷺ hai Muzaffar Is raah pe chalne se thaka koi na hoga

Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah