Phir karam ho gaya main Madine chala Main Madine chala main Madine chala
Kaif-o-masti ata mujh ko kar de Khuda Mangta yeh dua main Madine chala
Aye shajar aye hajar tum bhi shams-o-qamar Dekho dekho zara main Madine chala
Muskurane lagi dil ki ik ik kali Ghuncha-e-dil khila main Madine chala
Phir ijazat mili jab khabar yeh suni Dil mera jhoom utha main Madine chala
Woh Uhad ki zameen jis ke andar makeen Mere Hamza piya main Madine chala
Jo hain mehboob-e-Rab apni un se hi sab Bakhshwane khata main Madine chala
Un ke minar par jab paregi nazar Kya suroor aayega main Madine chala
Haath uthte rahe, mujh ko dete rahe Woh talab ke siwa main Madine chala
Kya kare ga idhar, baandh rakht-e-safar Chal Ubaid-e-Raza main Madine chala





