Ya Rasool Allah ﷺ marhaba marhaba Ya Habeeb Allah ﷺ marhaba marhaba
Ek nazar aasman pe daal marhaba Chamka mah-e-noor ka hilal marhaba
Jhande lagao, galiyan sajao Karlo chiraghan, jagmagao Razi ho ga Rabb-e-Zuljalal marhaba
Mehfil sajao, naatein sunao Aqa ki aamad ki dhoomein machao Roz-o-shab yehi ho apna haal marhaba
Aashiq ke dil jagmagane lage hain Dekho zara muskurane lage hain Shahkar-e-Rabb-e-Zuljalal, marhaba
Sadqa wiladat ka jalwa dikha do Dil ki lagi ab to Aqa bujha do Dikha do ab jamal, marhaba
Jood-o-sakha hai aadat tumhari Phailaye daaman khade hain bhikhari Kardo karam Aamina ke laal, marhaba
Jaam-e-shahadat hai payi hain jinhon ne Ahl-e-sunan ko jila di unhon ne Yaad aayenge woh har saal, marhaba
Shadi ke naghme sunte rahenge Jashn-e-wiladat manate rahenge Waar denge tum pe jaan-o-maal, marhaba
Parhne laga jab Ubaid un ki naatein Hone lagi char so us ki baatein Faiz-e-Raza ka hai sab kamaal, marhaba





