kyun kar nah mere dil mein ulfat Rasool ﷺ ki Jannat mein lay ke jaaye gi chaahat Rasool ﷺ ki Chalta hoon main bhi qaaflay walo roko zara milne do bas mujhe bhi ijazat Rasool ﷺ ki poochhein jo deen o imaan nakirin Qabr mein Is waqt mere lab pe ho madhat Rasool ﷺ ki Jannat to un ke sadqay mein mil jaaye gi magar Ae kaash ho naseeb rifaqat Rasool ﷺ ki Ya Rab dikhade aaj ki shab jalwat-e Habib Ek baar to ata ho ziyaarat Rasool ﷺ ki Qabr mein Sarkaar aayein to mein qadamon mein giroun gar farishtay bhi uthayein to main un se yun kehun ab to paaye naaz se main Ae farishton kyon uthun mar ke pahunchaa hoon yahan is dilruba ke waaste tarpaa ke un ke qadamon mein mujh ko gira de shauq Jis waqt ho lahd mein ziyaarat Rasool ﷺ ki To hai ghulam un ka Abid-e-Rida tere Mahshar mein hogi saath himayat Rasool ﷺ ki





