Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Dhoom un ki naat khwani ki machatay jayenge Ya RasoolAllah ﷺ ka naara lagatay jayenge Naat khwani maut bhi hum se chura sakti nahi Qabr mein bhi Mustafa ﷺ ke geet gaatay jayenge Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon
Kitna bada hai mujh pe yeh ehsaan-e-Mustafa ﷺ Kehtay hain log mujh ko sana-khwan-e-Mustafa ﷺ
Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Naat khwani ka maza nas nas mein aisa chha gaya Qabr mein bhi geet Ubaid hum Mustafa ﷺ ke gayenge Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Koi guftagu ho lab par tera naam aa gaya hai Tera zikr kartay kartay yeh maqam aa gaya Jisay pee ke Sheikh Saadi Balaghal-Ula pukaray Meray dast-e-natawan mein wahi jaam aa gaya Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Jitna diya Sarkar ﷺ ne mujh ko utni meri auqaat nahi Yeh toh karam hai un ka warna mujh mein aisi baat nahi Tu bhi wahin par ja us dar par sab ki bigri banti hai Ik teri taqdeer jagana un ke liye kuch baat nahi Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Tera wasf bayan ho kis se teri kaun karay ga badayi Is gard-e-safar mein gum hai Jibraeel-e-Ameen ki rasayi Ae Raza khud Sahib-e-Quran hai maddah-e-Huzoor Tujh se phir mumkin hai kab midhat-e-RasoolAllah ﷺ Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Gham nahi chhod de yeh sara zamana mujh ko Meray Aaqa ﷺ toh hain seenay se laganay ke liye Bakhsh di naat ki daulat meray Aaqa ne mujhe Kitna pyara hai waseela Sarkar ko paanay ke liye Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Seenay mein bhara hai teri naaton ka khazana Aalam mein lutata hoon kamayi teray dar ki Sadayein duroodon ki aati rahengi Jinhein sun ke dil shad hota rahay ga Khuda Ahl-e-Sunnat ko aabad rakhay Muhammad ﷺ ka milaad hota rahay ga Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ
Awaaz Ubaid teri ba-faizan-e-naat hi Seenon mein aashiqan-e-Nabi ﷺ ke utar gayi Mujh pe Maula ka karam hai un ki naatein parhta hoon Daaman apna Rab ki rehmat se main har dam bharta hoon Main sadqay Ya RasoolAllah ﷺ Main sadqay Ya HabibAllah ﷺ





