Sarkar ke dar par jaaun woh waqt-e-mubarak aaye Taqdeer apni chamkaaun woh waqt-e-mubarak aaye
Jab pesh-e-nazar ho mere minar-o-gumbad tere Main ghash khakar gir jaaun woh waqt-e-mubarak aaye
Phir zer-e-gumbad-e-Khizra ro ro kar dast-basta Sab haal mein tujh ko sunaaun woh waqt-e-mubarak aaye
Dil ko apne samjha kar deedar ki aas dila kar Ro ro kar main so jaaun woh waqt-e-mubarak aaye
Woh khwab mein jalwa dikhaayein ae kaash karam farmaayein Main qadmon mein gir jaaun woh waqt-e-mubarak aaye
Hai dil ka Ubaid yeh armaan phir ban kar unka mehmaan Darbaar mein naat sunaaun woh waqt-e-mubarak aaye





