Pattharon ki pujaari thi sadiyon se jo Woh ghabi qawm jo ya-e-Rabb ho gayi
Kya tu pyaasi thi Islam ke khoon ki Kya sana-khwan-e-Ummi laqab ho gayi
Gumraahi khud batane lagi raasta Waadi-e-Noor, dunya-e-shab ho gayi
Dushman-e-deen, bane paasbaan-e-Haram Door, tafreeq-e-rang-o-nasab ho gayi
Lala-o-gul mehakne lage aag mein Rashk-e-jannat zameen-e-Arab ho gayi
Be-mahaaron ne thaami 'inaan-e-jahan Jaahiliyyat, ameer-e-adab ho gayi
Pad gayi jis pe woh aasmaani nazar Us ki dunya-e-dil hi ajab ho gayi





