Parhte hain kaun-o-makaan aap ka kalma tanha Shah-e-Lau-lak ﷺ ka rutba bhi hai kitna tanha
Ek se do hon to tauheed kahan rehti hai Haq ki yaktaai hai Sarkar ﷺ ka hona tanha
Tishna reh jaati hain khud parh ke kitabein jis ko Tum ho qudrat ka mukammal woh sahifa tanha
Kaise kaise nahi duniya mein mamalik lekin Markaz-o-mehwar-e-aalam hai Madinah tanha
Parda Jibraeel ki aankhon se bhi us waqt utha Gaye Sidra se pare jab Shah-e-Isra tanha
Noor-e-Haq ka koi rishta hi nahi saaye se Sirf logon ke dimaghon mein hai saaya tanha
Shauq jitna Shah-e-Taibah ka khayal aata hai Aap apne se hua jaata hoon utna tanha





