Paighambar-e-Deen, Haadi-e-Kul, Rahmat-e-Yazdaan Tu Qibla-e-Dil, Kaaba-e-Jaan, Mimbar-e-Eemaan
Chamke sar-e-Faraan-e-nazar teri tajalli Har saans hai mera tere dar ka mutawalli
Mujh se teri tareef ka haq kaise ada ho Sadiyon rahoon zinda toh na takmeel-e-sana ho
Shaayar ka qalam khaak lutaye ga khazane Quran mein qaseeday tere likhay hain Khuda ne
Qadmon mein tere faqr ke, konain ki shahi Har ek ishara tera, qanoon-e-Ilahi
Har baat, uthati hui zehno se naqabain Har nuqtay mein khulti hui hikmat ki kitabain
Har saans teri, sirr-e-haqeeqat ka zakheera Har lamha tera, taaj mein taanka hua heera
Maujein tere altaaf ki pyaason ko pukarein Daalay jo nazar, mor de roohon ki muharein
Dil hai mera sookhi hui daali mere Aaqa! Hoon ek hi jhonkay ka sawaali mere Aaqa!





