Pahuncha mera durood jo un ki janaab mein Mujh ko salaam arsh se aaya jawaab mein
Jab tak na ho shariat-e-Khair-ul-Wara ka faiz Mumkin nahi tameez gunaah-o-sawaab mein
Ab to koi sabeel huzoori ki ho huzoor Kab tak rahegi jaan musalsal azaab mein
Ashkon ne ki Bilalؓ ke lehje mein guftagu Sad shukr kaamyab raha main khitaab mein
Un ke siwa jahan mein aisa nahi koi Jis ne kiya ho qaid samundar habaab mein
Kaise sana-e-Sarwar-e-Aalam ko chhor dein Laazim yeh shiqq hai ishq-e-risalat ke baab mein
Wal-shams, wal-qamar kahein wal-lail-e-wal-duha Naatein likhi hui hain Khuda ki kitaab mein
Ek baar aur kijiye Shahzad par karam Ek baar aur aaiye Sarkarﷺ khwaab mein