Noor-e-Haq aapؐ mein kitna gum hai Jism majood hai saya gum hai
Ishq mein un ke giraftar hai aql Dard mein un ke masiha gum hai
Un ki jalwat ki hadein kya hongi Jin ki tanhai mein duniya gum hai
Un ka kirdar taraqqi ka usool Un ke imroz mein farda gum hai
Un ki chup mein bhi qayamat ka waqar Chaap mein naghma-e-darya gum hai
Khushbuen, un ke paseene ka nichod Jis ne is phool ko soongha gum hai
Un ki dehleez pe baithi ho gi Dil to hai dil ki tamanna gum hai
Doob kar paar utarna ho ga Is samandar mein kinara gum hai
Kya Muzaffar ne na jaane dekha Jab se paya unhein, pagla gum hai





