Nit nayi ek uljhan hai Af gham-e-rozgar ka aalam hai
Kaif-o-masti mein gharq yeh duniya Jaane kya dil-figar ka aalam
Ae Khuda tujh pe khoob zahir hai Hai jo mujh sogwar ka aalam
Jaan-e-gulshan ne hum se munh moda Ab kahan woh bahar ka aalam
Ab kahan woh chalakte paimane Ab kahan woh khumar ka aalam
Haye kya ho gaya ghadi bhar mein Woh shakeeb-o-qarar ka aalam
Dar-e-fani se kya gharaz us ko Jis ka aalam qarar ka aalam
Ab woh ranginiyan nahin ya Rab Kya hua bazm-e-yaar ka aalam
Yaad aata hai waqt-e-gham Akhtar Rukhsat-e-gham-gusar ka aalam





