Nihan jis dil mein Sarkar-e-do aalam ki mohabbat hai Woh khalwat khana-e-Maula hai woh dil rashk-e-jannat hai
Khalaiq par hui roshan azal se yeh haqeeqat hai Do aalam mein tumhari saltanat hai badshahat hai
Khuda ne yaad farmayi qasam khaak-e-kaf-e-pa ki Hawa maloom Taibah ki do aalam par fazeelat hai
Siwaye mere Aaqa ke sabhi ke rishte hain fani Woh qismat ka sikandar hai jise Aaqa se nisbat hai
Yehi kehti hai rindon se nigah-e-mast saqi ki Dar-e-maikhana wa hai maikashon ki aam daawat hai
Gham-e-Shah-e-Duna mein marne wale tera kya kehna Tujhe LAA TAHZANU ki tere Maula se basharat hai
Uthey shor-e-mubarakbad un se ja mila Akhtar Gham-e-jana mein kis darja haseen anjam-e-furqat hai





