Nigah teri charagh baante jamal-e-nikhat-fishan hai tera Nasab tera noor-e-Kibriya hai laqab Shah-e-do-jahan hai tera
Khuda ne hum se khitab chaha to tujh ko apni zaban dedi Gawah-e-goyai ilm tera amal suboot-e-bayan hai tera
Kahan kahan hain tere thikane tere maratib Khuda hi jaane Zameen bhi hai teri qadam-bos la-makaan bhi makaan hai tera
Shariat-e-Kibriya ki tashreeh saaf-o-sadah hayat teri Parha hai Quran bhi jo hum ne pata chala tarjuman hai tera
Raza-e-Haq hai teri nazar mein bihisht rehti hai tere ghar mein Sada se aala teri khamoshi yaqeen se bala guman hai tera
Tere safeene mein baith kar akhirat ka hum ne safar kiya hai Hawa ko jo is ka rukh bataye woh parda-e-baadbaan hai tera
Tu kitna chahe har ummati ko panah deta hai har kisi ko Hai tera dar-us-salam Makkah Madinah dar-ul-aman hai tera
Muzaffar Warsi ki duniya-o-deen wabasta hain wahin se Woh farsh jis par teri kamar hai woh arsh gumbad-e-jahan hai tera





