Ne'matein baant-ta jis simt woh Zeeshan gaya Saath hi munshi-e-rehmat ka qalamdaan gaya
Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya Mere Maula mere Aaqa tere qurbaan gaya
Aah woh aankh ke naakaam-e-tamanna hi rahi Haaye woh dil jo tere dar se pur-arman gaya
Dil hai woh dil jo teri yaad se ma'moor raha Sar hai woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya
Unhein jaana unhein maana na rakha ghair se kaam Lillahil-hamd main dunya se Musalman gaya
Aur tum par mere Aaqa ki inayat na sahi Najdiyo kalma parhane ka bhi ehsaan gaya
Aaj le un ki panah aaj madad maang un se Phir na maanein ge qayamat mein agar maan gaya
Uff re munkir ye barha josh-e-ta'assub aakhir Bheer mein haath se kambakht ke imaan gaya
Jaan-o-dil hosh-o-khirad sab toh Madine pohnche Tum nahin chalte Raza saara toh saaman gaya





