We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Nabi Ki GhulamiNot Verified

Muzaffar Warsi

Nabi ki ghulami bari baat hai Yeh ishq-e-dawami bari baat hai


Hamare liye aap ki ik nazar Huzoor-e-girami bari baat hai


Muhammad ﷺ ke hathon jo Kausar mile To aye tishna kami bari baat hai


Duroodon bhare mere har saans ki Jo lein woh salami, bari baat hai



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Rahe sabt mere labon par agar Tera naam-e-nami, bari baat hai


Agar meri aankhon ke aangan mein woh Karein khush khurami, bari baat hai


Diye har muhajir ko sarkar ne Huqooq-e-maqami, bari baat hai


Qabool un ke darbar mein ho agar Meri khush-kalami, bari baat hai


Ba-pairaya-e-naat, is daur ka Muzaffar hai Jami, bari baat hai

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah