Nabi ﷺ ki ghulami mere kaam aayi Madine se chitthi mere naam aayi
Darakhshan hamesha se hai mehr-e-Faran Nahi us ke upar kabhi shaam aayi
Nayi naat maktoob-e-Tayyaba ki soorat Hazoori ka ban kar hai paigham aayi
Yeh ijaz hai zikr-e-salli ala ka Musibat bhi aksar mere kaam aayi
Ta’al Allah! khursheed-e-tauheed nikla Khusha! subh-e-tarheel-e-asnaam aayi
Har ik naat Shahzad taskeen-ba-daman Dilasa bane waqt-e-aalam aayi