Nabiؐ ke paaye aqdas se hai mujh ko rabta rakhna Farishto sang-e-aswad tak lahad mein raasta rakhna
Shaheedan-e-mohabbat ke liye yeh rizq kaafi hai Duroodon ka salaamon ka zabaan par zaiqa rakhna
Makaan mein reh ke sair-e-la-makaan karne ki khwahish hai To dar hi dar khulenge ek dar se waasta rakhna
Lita kar qabr mein jab khaak mujh par daal di jaaye To katbe ki jagah toota hua ek aaina rakhna
Alihda ho ke bhi milti rahegi zindagi tum se Muzaffar maut ka marne se pehle tajurba rakhna





