Muzdah-e-rehmat-e-Haq hum ko sunane wale Marhaba aatish-e-dozakh se bachane wale
Jitne Allah ne bheje hain Nabi duniya mein Teri aamad ki khabar sab hain sunane wale
Mujh se nashad ko pahuncha de dar-e-Ahmad tak Mere Khaliq mere bichhron ke milane wale
Dil-e-veerana-e-ashiq ko bhi kijiye aabad Mere mehboob Madine ke basane wale
Koi pahuncha na Nabi rutba-e-aali ko tere Marhaba! khuld ki zanjeer hilane wale
Baad-e-murdan mujhe dikhlayenge jalwa apna Qabr-e-teera mein mere sham’a dikhane wale
Qabr mein aap ko dekha to Raza ne yeh kaha Dekhiye! aaye woh murdon ko jalane wale





