Mustafa ﷺ Mustafa ﷺ kar raha hoon Ya'ni Rabb ki sana kar raha hoon
Naat bhi mera husn-e-talab hai Us gali mein sada kar raha hoon
Un ke dariya mein mujh ko dubo de Minnat-e-nakhuda kar raha hoon
Chal raha hoon madar-e-haram mein Ya tawaf-e-Hira kar raha hoon
Zindagi un pe qurban kar ke Qarz-e-imaan ada kar raha hoon
Gunbad-e-Mustafa ﷺ se lipat kar Zakhm-e-dil ko hara kar raha hoon
Kyun na ho ghair hazir Muzaffar Haziri ki dua kar raha hoon





