Mujhe bhi ya-Rab qabool karna Main khaak-e-pa-e-Muhammadi hoon Imam-e-aalam ka muqtadi hoon Mujhe fana-fil-Rasool karna Mujhe bhi ya-Rab qabool karna
Woh sabz gumbad mein rehne wala Muskaan-e-be-had mein rehne wala Hisar-e-kaunain zaat jis ki Main us Muhammad ﷺ mein rehne wala
Panah de us ki be-panahi Mujhe qayamat mein bhi Ilahi Usi ke hathon wasool karna Mujhe bhi ya-Rab qabool karna
Bina tasawwur, nazar se guzre Baghair aahat ke, dil mein utre Main us ke darya mein doob jaaun To mujh ko gehrai le ke ubhre
Diya mohabbat ko tool jis ne Khilaye hain mujh mein phool jis ne Usi ke raste ki dhool karna Mujhe bhi ya-Rab qabool karna
Lagaye zulfon mein chand dere Siyah kamli tale sawere Chamakne wali har ek shay se Zyada roshan huzoor mere
Huzoor par hai nigah meri Behisht ko jaaye raah meri Karam ka mujh par nazool karna Mujhe bhi ya-Rab qabool karna
Mira har ik saans us ka qari Woh kisht-e-jaan ki hai fasl saari Woh noor-paikar raqam hai dil par Lahu mein gardan labon pe jaari
Mujhe bhi pyara hai zindagi se Main mar na jaaun kahin khushi se Baghair gham ke malool karna Mujhe bhi ya-Rab qabool karna





