Muhammad ﷺ ki itaat kar raha hoon Khareedari-e-rehmat kar raha hoon
Nabi ﷺ ko jis ne pehli baar dekha Main us lamhay ki bai'at kar raha hoon
Teray mehboob ki khatir Ilahi Teri dunya mein shirkat kar raha hoon
Faraaz-e-kursi-o-Sidra pay charh kar Madinay ki ziyarat kar raha hoon
Saheefay hain jo hijr-e-Mustafa ﷺ ka Un ashkon ki tilawat kar raha hoon
Hain na'lain-e-Muhammad ﷺ taaj mera Ghulaami mein hukoomat kar raha hoon
Mujhay Kaaba bohat pyara hai lekin Nabi ﷺ kay saath hijrat kar raha hoon
Namazon ko duroodon say saja kar Ibadat hi ibadat kar raha hoon
Bohat hi shauq hai jeenay ka mujh ko Tamanna-e-shahadat kar raha hoon
Amal to aakhirat mein shaya hon gay Yahan un ki kitabat kar raha hoon
Jahan Hassan na'atein parh rahay hain Wahan ki main nizamat kar raha hoon
Muzaffar masiyat kay abr-on say Main iss dil ki hifazat kar raha hoon





