Muhammad ﷺ hain samandar tashnagi naat Bohat sairab mujh ko kar gayi naat
Har ek shay ka hawala Mustafa ﷺ hain Zameen bhi naat hai aflak bhi naat
Parho Quran to maloom hoga Kahi Allah ne kitni bari naat
Agar har ek amal ho hasb-e-Quran To ban jati hai poori zindagi naat
Mera deebacha-e-ishq-o-mohabbat Khuda ki hamd ya Sarkar ki naat
Namaz-e-ba-jamaat ho rahi hai Imam un ka tasawwur muqtadi naat
Parhein Aaqa ﷺ ki mehfil mein farishtay Muzaffar jab bhi likhta hai nayi naat





