Meri mayyat pe yeh ahbab ka matam kya hai Shor kaisa hai yeh aur zari-e-paiham kya hai
Waye hasrat dam-e-akhir bhi na aakar poocha Mudda kuch toh bata deedah-e-pur-nam kya hai
Kuch bigadta toh nahi maut se apni yaaro Humsafeeran-e-gulistan na rahe hum kya hai
In khayalat mein gum tha ke jhanjhora mujh ko Ek anjani si aawaz ne ek dam kya hai
Kaun hota hai museebat mein shareek-o-hamdam Hosh mein aa yeh nasha sa tujhe har dam kya hai
Kaif-o-masti mein yeh madhosh zamane wale Khak jaanein gham-o-aalam ka aalam kya hai
Un se umeed-e-wafa haye teri nadani Kya khabar un ko yeh kirdar-e-muazzam kya hai
Woh jo hain hum se gurezaan toh bala se apni Jab yehi taur-e-jahan hai toh bhala gham kya hai
Meethi baton pe na ja ahl-e-jahan ki Akhtarؔ Aql ko kaam mein la ghaflat-e-paiham kya hai





