Meri khalwat mein maze anjuman-aaraai ke Sadqe jaaun main aneese shabe tanhaai ke
Un ke sadqe mein mila mol anokha mujh ko Ho gaye dono jahan aap ke shedaai ke
Sar hai sajde mein khayal-e-rukh-e-jaanan dil mein Hum ko aate hain maze nasiya-farsaai ke
Sajda be-ulfat-e-sarkar abas hai Najdi Mohar-e-laanat hain ye sab dagh-e-jabeen saai ke
Dasht-e-Taibah mein gumade mujhe ai josh-e-junoon Khoob lene de maze baadiya-paimaai ke
Woh rage-jaan do-aalam hain bade bhai nahin Hain ye sab phande bure tere bade bhai ke
Main to hoon bulbul-e-bostan-e-Madinah Akhtar Hausle mujh ko nahin qafiya-aaraai ke





