Meri hayaat Muhammad ﷺ ke naam likh dena Mere kafan pe durood-o-salaam likh dena
Kiya to ishq, faraaiz magar ada na kiye Tamaam shud ki jagah na-tamaam likh dena
Khuda ke saare gharon ka karo shumaar agar To meri rooh ko Bait-ul-Haraam likh dena
Hawaao shehr-e-Nabi ﷺ se ho jitni baar guzar Har ek zarre pe mera salaam likh dena
Na karna fard-e-amal par bhi mera naam raqam Farishto sirf Nabi ﷺ ka ghulaam likh dena
Jab aakhirat mein ho fehrist-e-aashiqaan taiyaar Mujhe bhi banda-e-Khair-ul-Anaam likh dena
Jawaar-e-chashma-e-Kausar pe jis ki aankh khule Mere naseeb mein aisi bhi shaam likh dena
Muzaffar ab nahin aayega aur koi Nabi ﷺ Unhien har ek sadi ka imaam likh dena





