Meri har saans chamakti hai ujalay say teray Chaand hi chaand mujhay mil gaye haalay say teray
Mera apna koi chehra hai na aankhain na wajood Ab to pehchantay hain log, hawalay say teray
Jo mohabbat mujhay tujh say hai, woh kitni hogi Toot kar pyaar karoon chahnay walay say teray
Teri tareef ka asloob kahan say laaun Saaray andaaz, anokhay say niralay say teray
Hashr tak kay liye kar jaye gi sairab mujhay Agar ik ghoont bhi mil jaye piyalay say teray
Is taraf bhi ho nigah-e-mutawazan, Aaqa Girtay aflak sambhal jayain sambhalay say teray
Ghol day meri samaat mein bhi aahat apni Ek bhatka huwa Ghazi hoon risalay say teray
Yeh bhi ik phool hai saada sa, teray sehra ka Rang mil jaye Muzaffar ko bhi lalay say teray





