Meri har saans par us ki mohar nazar Mere honton par khulta hua bhi wahi Saath bhi us ke hon us ko tay bhi karoon Qaafila bhi wahi raasta bhi wahi
Raaz-e-hasti un aankhon se zahir hua Iftitaah-e-jahan us ki khatir hua Khaakdaan ke alam us ke naqsh-e-qadam Sidratul-Muntaha bhi wahi
Qaul-e-tahqeeq hai fe'l-e-tasdeeq hai Kyun na ho ilm ka woh ataaleeq hai Us ka ummi laqab aur sarapa adab Falsafi bhi wahi falsafa bhi wahi
Kitne logon ka ehsaan hai tareekh par Aisa insaan koi dikhaye magar Sar pe baar-e-sitam sang-e-basta shikam Saari dunya ka farmanrawa bhi wahi
Roshni azal ka hawala bhi woh Matla-e-aakhiri ka ujala bhi woh Waqt aur faasle us ke mehwar tale La-makani ka geographya bhi wahi
Puri insaniyat us ki mamnoon hai Woh adalat hai munsif hai qanoon hai Muslih-e-har zamaan be-amaan ki amaan Murda roohon ka dar-ush-shifa bhi wahi
Fikr hai aaqibat ki Muzaffar agar Jis pe Aaqa chale chal usi raah par Jis mein hogi raza-e-Shah-e-Anbiya Hukm saadir kare ga Khuda bhi wahi





