Meri aankhon mein us ka lahu aa gaya Ae namazo mujhe bhi wazu aa gaya
Tishnagi sab ke honton pe jamne lagi Qafila jab sar-e-aabju aa gaya
Le ke hamrah kitni badi fauj ko Kal behtar se ladne adu aa gaya
Khaima-e-gul se shole nikalne lage Kya koi qatil-e-rang-o-bu aa gaya
Haar kar bhi hui fath mazloom ki Zalimon ke woh jab rubaru aa gaya
Aansuon ne mere jab bhi aawaz di Karbala-e-tasawwur mein tu aa gaya
Ma'siyat cheekh uthi main chali main chali Lab pe jab Allah hu Allah hu aa gaya
Bole sun kar Muzaffar ko Ibn-e-Ali Kaun yeh shair-e-khush-galu aa gaya





