Mere seene mein jab tak dil rahega Mujhe qurb aap ﷺ ka hasil rahega
Main unka naao mein baitha hua hoon Har uthti mauj mein sahil rahega
Dobara zindagi ki sarhadon tak Muhammad ﷺ ka karam shamil rahega
Shareek-e-haal woh jab tak rahenge Farozaan mera mustaqbil rahega
Nichawar karte rehna un pe saansein Safar aasooda manzil rahega
Mayassar hai use tanhai unki Muzaffar, raunaq-e-mehfil rahega





