Mere khoon ke qatre qatre ke andar Muhammad ﷺ likha hai Kisi haath ne mere seene pe aksar Muhammad ﷺ likha hai
Andheron ke peechay bhi hai ek ujala parhay parhnay wala Kitab-e-zamana ke har "ek waraq par" Muhammad ﷺ likha hai
Haway-e-jahan jab se samundar se guzri "kinaray pe" utri Kinare kinare samundar samundar Muhammad ﷺ likha hai
Shariat gali hai tariqat makan hai tafawut kahan hai Tasawwuf ne ishq-e-Muhammad ﷺ mein mit kar Muhammad ﷺ likha hai
Jo Aadam ne loh-e-azal par parha tha Muhammad ﷺ likha tha Meri har talab har dua har sukhan par Muhammad ﷺ likha hai
Khuda ne kahin un ko tanha na rakha, shareek apna rakha Azaanon namazon ke mathay pe khul kar Muhammad ﷺ likha hai
Wajood-o-adam ke hain jitnay khilownay diye hain unhon ne Har awaz-e-kun ke barabar barabar Muhammad ﷺ likha hai
Kabhi to Huzoor ﷺ aayenge mere haan bhi khulay gi zaban bhi Isi aalam-e-shauq mein zindagi bhar Muhammad ﷺ likha hai
Kitab-e-do aalam ke har hashye par har ek zawaye par Parho deedah-e-agahi se Muzaffar Muhammad ﷺ likha hai





