Mere kaam aa gayi zindagi mujhe tu mila to Khuda mila Hua aansuon mein jo ghota-zan to samundaron se main ja mila
Na idhar gayi na udhar gayi yeh nigah tujh pe thehar gayi Mujhe jab talash kiya gaya tere raaste mein pada mila
Tha wajood tera adam mein bhi teri dhadkanein hain haram mein bhi Teri dor haath mein aa gayi to haqeeqaton ka sira mila
Dar-e-Mustafa ﷺ par gira tha main jab utha to badla hua tha main Jo kabhi hua hi na tha hua, jo kabhi mila hi na tha mila
Diya saath shauq-e-rasai ne to chamak uthe mere aaine Teri naat aayi zabaan par to jamaal-e-harf-o-nawa mila
Mere ird-gird ke ajdahay mujhe rehan-e-khauf na kar sake Kabhi to jo Musa ؑ ke haath mein mujhe aap se woh asa mila
Isay aur koi talab na thi wahi tha Muzaffar Warsi Woh jo ik faqeer sa umar bhar tere dar pe baitha hua mila





