Main ne jab Aap ki dehleez ko Aqa ﷺ chooma Yun laga Aap ne jaise mera maatha chooma
Hont farigh hue pal bhar ko na aankhein meri Kabhi jaali kabhi roza kabhi parda chooma
Aap ko khwab mein dekha to muqaddar jaage Jhoom utha, naat padhi ro diya, lipta, chooma
Un ke qadmon ki taraf le gaye jab hont mujhe Hont bhi naqsh-e-qadam ban gaye itna chooma
Safar-e-Arsh pe le jaane ko Jibreel jab aaye Apne rukhsar se mehtaab-e-kaf-e-paa chooma
Hajar-e-Aswad ko diya bosa to mehsoos hua Hajar-e-Aswad ko nahin haath Khuda ka chooma
Main batata hoon tumhein ishq-nawardi kya hai Ek aahat ke liye saara Madina chooma
Shahd sa daud gaya hai meri sharyanon mein Jab kabhi padh ke durood apna angootha chooma
Manzelein rehti hain seene mein Muzaffar mere Woh jidhar bhi gaye main ne woh rasta chooma





