Main hoon umeed-waar-e-Shah-e-dojahan Sabz gumbad mera intikhabi nishan
Kooche-e-Mustafa se jo aayi hawa Khul gayin hujra-e-zehn ki khirkiyan
Mere ashaar hain ya Bilal-e-sukhan De raha hai faseel-e-haram se azaan
Aap ki zaat izhaar-e-haqq-o-yaqeen Aap ki baat elaan-e-amn-o-amaan
Lamha lamha ita’at kare aap ki Aap ki aahatein karwaan karwaan
Aap pyase ko darya inayat karein Aap ki rahmatein be-karaan be-karaan
Chaand suraj samajhti hai duniya jise Aap hi ki Muzaffar hain parchhaiyan





