Main apne aap ko jab dhoondta hua nikla Mera wajood hi unka nishan-e-pa nikla
Ghubar-e-paye Muhammad ﷺ pehen ke kya nikla Hudood-e-raah se ek aur raasta nikla
Azal bhi ek sira uski dor ka nikla Qadeem hote hue kis qadar naya nikla
Gunah tauba ki dehleez par jab aan nikla Samajh raha tha jise azdaha, asa nikla
Woh aaina liye kirdaar-e-Mustafa ﷺ nikla Ke jisne dekha Khuda ke qareeb ja nikla
Har ek ashk ba-pairaya-e-dua nikla Tu khushk khushk Muzaffar hara bhara nikla





