Markaz-e-adl-o-mohabbat aap hain Har zamane ki zaroorat aap hain
Baad az hamd-o-sanaye Zul-Jalal Laiq-e-kul madh-o-midhat aap hain
Yeh jahan qudrat ka hai ik aaina Aainay ka husn-e-soorat aap hain
Waqt ke lab par qaseeda aap ka Harf-e-Kun ka maqsad-e-niyat aap hain
Aap mehrab-e-azal mein jalwa-gar Sahib-e-khatm-e-nabuwwat aap hain
Jo chali thi Hazrat Ibrahim ؑ se Deen-e-haq ki woh riwayat aap hain
Aaye duniya mein hazaron ambiya Laye jo hatmi shariyat aap hain
Sab mazahir majlisi hain aap ke Sadr-e-aiwan-e-haqeeqat aap hain
Aap hain Allah ke aini gawah Aitebar-e-adamiyat aap hain
Aap ne todi hudood-e-lamakan Ham-rikab-e-har musafat aap hain
Aap par nazil hua Quran-e-Pak Yaani us ki ayat ayat aap hain
Har Nabi ki khoobiyan hain aap mein Intihaye jam'iyat aap hain
Hama-daan hai ummiyat bhi aap ki Waris-e-aql-o-firasat aap hain
Gumrahi ke aalmi sahraon mein Chashma-e-rushd-o-hidayat aap hain
Ek pal bhi umar ka ojhal nahin Motabar tareekh-e-seerat aap hain
Pooray din ki roshni jaisa wajood Aaftab-e-wahi-o-dawat aap hain
Aap ka har harf, harf-e-ezadi Rast-guftari ki hurmat aap hain
Aap ka har ik amal husn-e-hayat Shahkar-e-kamiliyat aap hain
Aap par logon ke batin munkashif Musleh-e-takhayyul-o-khalwat aap hain
Saya-e-alam yatimi aap ki Khazin-e-har be-baza'at aap hain
Fakhr ke ma'ni faqiri aap ki Yaani dil walon ki daulat aap hain
Aap ke pairo shaoor-o-lashaoor Peshway-e-ilm-o-hikmat aap hain
Haq Ta'ala tak pahunchne ke liye Be-waseelon ki wasatat aap hain
De hareef-e-jaan shahadat aap ki Wali-e-sidq-o-sadaqat aap hain
Doston ke wastay kya hon ge aap Dushmanon ke haq mein rehmat aap hain
Zalimon ke samnay haq baat ki Saaray mazloomon ki taqat aap hain
Aap ke qadmon ki mitti ki qasam Aasman-e-istiqamat aap hain
Waqf-e-deen hai lamha lamha aap ka Phir bhi masroof-e-siyasat aap hain
Jood-o-istaghna, tawakkul, maskanat Saari qadron ki zamanat aap hain
Azm-o-istiqlal ki, eesar ki Kis qadar roshan alamat aap hain
Aap ki tanhai bhi ik taifa Kitni kasrat khez wahdat aap hain
Ae khateeb-e-mimbar-e-koh-e-Safa Jaan-e-taqreer-o-khitabat aap hain
Aarzuon ka laqab be-nafsiyan Ajz-e-insani ki rif'at aap hain
Aap ki faqa-kashi par sang dang Paikar-e-sabr-o-qana'at aap hain
Dil nahin toda kisi dukh dard ka Sarparast-e-hijr-o-hijrat aap hain
Mujrimon ko sazaye rahm de Aisa qanoon-o-adalat aap hain
Saltanat aarayi ki tasveer mein Rang-e-mazdoori-o-mehnat aap hain
Har qadam kuffar se jang azma Har nafas meh-e-ibadat aap hain
Ahl-e-khana bhi hain aur ahbab bhi Ghaar ki bhi zaib-o-zeenat aap hain
Chalte phirte aur sotay jagte Mustajab-e-Rabb-ul-Izzat aap hain
Jism-e-athar par chatai ke nishan Aur Sultan-e-riyasat aap hain
Aap ka ek ek lamha daimi Ek alam-geer quwwat aap hain
Faateh-e-dil, faateh-e-zehn-o-zameer Ishq ka dar-ul-hukumat aap hain
Jo hamaray paas rakhwayi gayi Kibriya ki woh amanat aap hain
Dhoondti rehti hain aankhein aap ko Mera mauzoo-e-ziyarat aap hain
Aap ka main mo'taqid jasoos hoon Meray jazbon ki hararat aap hain
Zehn mera aap se hat-ta nahin Meri duniya meri jannat aap hain
Mar mitoon main aap ke namoos par Meri izzat meri azmat aap hain
Aap hi ka aasra baad-e-fana Shafi-e-roz-e-qayamat aap hain
Kya daroon be-wazni-e-a'mal se Ya Muhammad ﷺ jab salamat aap hain





