Man mohan ne roop nikala, us pe fida ghar baar Laag lagi hai, aag lagi hai, jeena hai dushwar
Rang shahabi, nain gulabi, mastana raftaar Sara jagat hai us par qurbaan us par jaan nisaar
Jaan ke kyun anjaan bane ho main hoon badi dukhiyar Tujh bin babal koi nahi hai beri hai sansaar
Tujh pe apna tan man waroon phoonk doon tujh par rain Be-kaj hoon deewani tori preet gale ka haar
Kis ka roop bhara hai tum ne, joban kis ka dhara hai Main kya tujh se ishq karoon, Bhagwan ko tujh se pyaar
Saya ban kar saath rahoongi, tumre sagan din raat karoon gi Tore phaban par hoon gi tarpat aur charan parwar
Tarpat tarpat umar gujari, hone lagi ab shaam Ek najariya tak le mujh ko, sun le haal-e-zaar
Tum bin chain mila na kabhu bhi, kathan kati mori raat Kab se sajariya soni padi hai ab aa ja dildaar
Jaise jale hai ban kar lakdi, aise jalti hoon Jaan chali hai ban kar aansu, thaam le ae gham khwar
Tere dware aan padi hoon tujh pe najariya baandh khadi hoon Phansi bhanwar mein mori naiyya paar karo sarkaar





