Malik-e-khas-e-kibriya ho Malik-e-har masiva ho
Koi kya jaane keh kya ho Aql-e-aalam se wara ho
Kanz-e-maktoom-e-azal mein Durr-e-maknoon-e-Khuda ho
Sab se awwal sab se aakhir Ibtida ho intiha ho
Thay waseele sab Nabi tum Asl maqsood-e-huda ho
Paak karne ko wuzu thay Tum namaz-e-jaanfaza ho
Sab basharat ki azaan thay Tum azaan ka mudda'a ho
Sab tumhari hi khabar thay Tum mu'akhkhar mubtada ho
Qurb-e-Haq ki manzilein thay Tum safar ka muntaha ho
Qabl-e-zikr izmaar kiya jab Rutba-e-sabiq aap ka ho
Toor-e-Musa charkh-e-Isa Kya musavi-e-danya ho
Sab jihat ke daayre mein Shash jihat se tum wara ho
Sab makaan tum lamakaan mein Tan hain tum jaan-e-safa ho
Sab tumhare dar ke raste Ek tum raah-e-Khuda ho
Sab tumhare aage shafi' Tum huzoor-e-kibriya ho
Sab ki hai tum tak rasai Baargah tak tum rasa ho
Woh kalas rawze ka chamka Sar jhukao kaj kulaho
Woh dar-e-dawlat pe aaye Jholiyan phailao shaho





