Main us zamane ka muntazir hoon zamana jab besal hoga Har ek masjid Madinah hogi har ek muazzin Bilal hoga
Chamak uthe gar zameer apne, jo hogaye hum aseer apne Har ek aahat chiragh hogi, har ek saya hilal hoga
Huzoor ﷺ ke aaine utha kar chale toh pehchane jayenge hum Sifarish-e-ishq-e-Mustafa ﷺ se hamara batin bahal hoga
Quroon-e-oola se rabta kar liya jo apni taraqqiyon ne Mohabbaton se sadaqaton se har aadmi mala maal hoga
Jihad karna hai har ghadi se, hisab lena hai zindagi se Manayenge jashn-e-khair, us din badi ka jab inteqal hoga
Chune ga jo raaste ke patthar, use zamana kahe ga rahbar Kisi ko thokar lagi toh har meer-e-karwan se sawal hoga
Shariat-e-Mustafa ﷺ Muzaffar, hamari aaeen saaz hogi Khuda ka qanoon, apna qanoon ban gaya toh kamal hoga





