Mahtab se kirnon ka na khushbu se gulon ka Jo rabt tere naam se hai mere labon ka
Jab bhi tere kirdar pe daurata hoon nazrein Surma sa lagati hai hawa roshniyon ka
Aahat hai teri mere tasawwur se bhi aage Kis tarah ta'ayyun main karoon teri hadon ka
Patthar hai sama'at hi tere ummatiyon ki Lipte to har ek se teri aawaz ka jhonka
Un surkh dilon ko nigah-e-sabz ata kar Bhaaye na jinhein rang teri anjumano ka
Sachayi ki daulat se bhi bhar un ke khazane Mayar faqat ooncha hai jin pista qadon ka
Is mulk se karta hai bahut pyaar Muzaffar Ka'abe ki taraf karde rukh is ke sanamon ka





