Mah-seema hai Ahmad-e-Noori Mehr-e-jalwa hai Ahmad-e-Noori
Noor-wala hai Ahmad-e-Noori Noor-wala hai Ahmad-e-Noori
Na khula kya hai Ahmad-e-Noori Raaz-e-basta hai Ahmad-e-Noori
Door pohancha hai Ahmad-e-Noori Bohat ooncha hai Ahmad-e-Noori
Noor-e-seena hai Ahmad-e-Noori Toor-e-seena hai Ahmad-e-Noori
Wasf-e-ajla hai Ahmad-e-Noori Kashf-e-akhfa hai Ahmad-e-Noori
Ahd-e-aufi hai Ahmad-e-Noori Shahd-e-asfi hai Ahmad-e-Noori
Jalb-e-taqwa hai Ahmad-e-Noori Salb-e-taghwa hai Ahmad-e-Noori
Najm se mah mah se mehr hua Ghadiyon barhta hai Ahmad-e-Noori
Mehr se mah mah se najm hua Abhi neecha hai Ahmad-e-Noori
Us ke mudrak hain fauq-e-tabiyat Ilm-e-aala hai Ahmad-e-Noori
Barkati jahan jami ho baraat Is mein dulha hai Ahmad-e-Noori
Shams-e-deen ki shuaon ka tere Sar pe sehra hai Ahmad-e-Noori
Taar-e-anzaar-e-marhamat se buna Tera jama hai Ahmad-e-Noori
Rushd-o-irshad ka tere sar par Aaj turra hai Ahmad-e-Noori
Qadiriyat hai Chishtiyat se baham Nag-e-dopalka hai Ahmad-e-Noori
Raf-e-qauma mein waz-e-sajde mein La wa illa hai Ahmad-e-Noori
Zikr aisa ki kalma ki ungli Khud sarapa hai Ahmad-e-Noori
Qauma seedha ruku dohra hai Alif-o-illa hai Ahmad-e-Noori
Mahz-e-isbaat ka maqam-e-buland Yun dikhata hai Ahmad-e-Noori
Mera murshid hai mus-haf-e-natiq Noori aya hai Ahmad-e-Noori
Mahbit-e-fazl-e-sheikh ta barakaat Panjsura hai Ahmad-e-Noori
Harmain us ke pair-o-aala-e-peer Bait-e-Aqsa hai Ahmad-e-Noori
Ism-e-asma tera ta'alallah Ba-musamma hai Ahmad-e-Noori
Aasmaan se utarte hain asmaa Naam kaisa hai Ahmad-e-Noori
Naam bhi noor husn-e-taam bhi noor Noor duna hai Ahmad-e-Noori
Noor-e-sarkar-e-zaat duna hai Din sawaya hai Ahmad-e-Noori
Keejiye aks-e-misl ke nashiya ka Noor-e-insha hai Ahmad-e-Noori
Qurb us aala se hai tujhe jis ka Qasr-e-au adna hai Ahmad-e-Noori
La-walad rehte hain tamam abdaal Fard-o-tanha hai Ahmad-e-Noori
Pisar-o-nabasa-o-nabeera-e-noor Noor aaya hai Ahmad-e-Noori
Is ki si maa jahan mein kis ki Ibne Zahra hai Ahmad-e-Noori
Shakal dekho to noor ki tasveer Noori putla hai Ahmad-e-Noori
Naam poocho to noor ki tanveer! Noor-e-ma'ana hai Ahmad-e-Noori
Anjuman ho rahi mashriq-e-noor Jalwa-farma hai Ahmad-e-Noori
Baam-o-dar ki ziya se roshan hai Noor-e-bala hai Ahmad-e-Noori
Taliban-e-hareem-e-haq ke liye Raast qibla hai Ahmad-e-Noori
Daur-e-gande pe chaar unsur ke Tera ganda hai Ahmad-e-Noori
Band-e-ta'weez se kashaish ne Qaul bandha hai Ahmad-e-Noori
Naqshe jamte hain teri himmat se Naqsh-e-parwah hai Ahmad-e-Noori
Achhe pyare ke dil ka tukra hai Achha achha hai Ahmad-e-Noori
Bholi surat hai noor ki moorat Pyara pyara hai Ahmad-e-Noori
Gul-e-Baghdad ki mehak mein basa Bhina bhina hai Ahmad-e-Noori
Abr-e-barakat ki tapak mein dhula Ujala ujala hai Ahmad-e-Noori
Hai musaffa asal labon se rawan Meetha meetha hai Ahmad-e-Noori
Woh Awarif ka noor-baar siraj Jag ujala hai Ahmad-e-Noori
Is ke irshad hain daleel-e-yaqeen Shak mitata hai Ahmad-e-Noori
Is ke lab hain kaleed-e-kashf-e-quloob Fatah-e-daulha hai Ahmad-e-Noori
Gauhar-e-be-baha-e-Noor-o-Baha Tera shajra hai Ahmad-e-Noori
Sayyid-ul-ambiya Rasulullah Tera baba hai Ahmad-e-Noori
Marja-ul-auliya Ali Wali Tera dada hai Ahmad-e-Noori
Woh Husaini rachi hui rangat Gul se zeba hai Ahmad-e-Noori
Zeent-e-Zain-e-Aabideen se tera Husn nikhra hai Ahmad-e-Noori
Amm-e-aazam hain Hazrat-e-Baqir Tu bhateeja hai Ahmad-e-Noori
Sadiq-e-rafz-soz ka parto! Tujh pe saccha hai Ahmad-e-Noori
Shan-e-Kazim dikha ke ma'dan-e-ilm Tera mansha hai Ahmad-e-Noori
Ae Raza ke razi Raza ke Raza Tujh se joya hai Ahmad-e-Noori
Faiz-e-Ma'roof se tera ma'roof Shehr-e-shuhra hai Ahmad-e-Noori
Sir mein saari hai sirr-e-pak tere Sir pe sara hai Ahmad-e-Noori
Sayyid-ut-taifa ka taif hai Hum ko Ka'ba hai Ahmad-e-Noori
Shibl-e-Shibli qoum-e-sharza par Sher-e-sharza hai Ahmad-e-Noori
Abd-e-Wahid ke bahr-e-wahdat se Durr-e-yakta hai Ahmad-e-Noori
Bul-Farah ke liye farah-e-deedey Gham ne ghera hai Ahmad-e-Noori
Hasan-e-Bul-Hasan pe tera husn Kya nirala hai Ahmad-e-Noori
Bu-Sa'eedi Sa'eed kitna sa'ad Tera tara hai Ahmad-e-Noori
Ghaus-e-konain ki ghulami se Jagat aaqa hai Ahmad-e-Noori
Abd-e-Razzaq hain waseela-e-rizq Tu sahara hai Ahmad-e-Noori
Nasr-o-Bu-Nasr us ke nasr-e-naseer Nasir apna hai Ahmad-e-Noori
Taazi kopul Ali ki daali mein Tera bala hai Ahmad-e-Noori
Shah-e-Musa ke gore hathon ka Yad-e-baiza hai Ahmad-e-Noori
Hasani Ahmadi Husaini-o-Hameed Khush-satuda hai Ahmad-e-Noori
Dekh lo jalwa-e-Bahauddin Aaina-sa hai Ahmad-e-Noori
Gul-e-khandan-e-bagh-e-Ibrahim Tera chehra hai Ahmad-e-Noori
Khud bhikari ke dar ka sail hai Hum ko data hai Ahmad-e-Noori
Noor-e-Qazi Ziya ke parto se Noor-e-azwa hai Ahmad-e-Noori
Ae Jamal-e-Jameel shan-e-Jamal Tujh mein jumla hai Ahmad-e-Noori
Hamd ke dono pak namon ka Faiz-o-lam'a hai Ahmad-e-Noori
Shan-e-anwaar-e-fazl-e-Fazlullah Tujh se paida hai Ahmad-e-Noori
Barkati chaman ka boota hai Barkat-za hai Ahmad-e-Noori
Bagh-e-aal-e-Muhammadi hai nihaal Suthra pooda hai Ahmad-e-Noori
Rahe Hamza ka maikada jis ki Madh ka mata hai Ahmad-e-Noori
Aal-e-Ahmad hain Mustafa ke chaand Mah-e-pyara hai Ahmad-e-Noori
Khusro-e-auliya hain Aal-e-Rasool Shahzada hai Ahmad-e-Noori
Mere aaqa ka laadla beta Naazon pala hai Ahmad-e-Noori
Shab-e-bid'at se kahiye ho kafoor Noor-afza hai Ahmad-e-Noori
Rafz-o-tafzeel-o-Nadwa ka qatil Sunnat-ara hai Ahmad-e-Noori
Seedha saadha hai lekin ulton se Baanka tircha hai Ahmad-e-Noori
Dekhe bhaale hain shehr-e-dahr ke sheikh Sab se awla hai Ahmad-e-Noori
Khulafa-e-salasa ka hai ghulam Jab to Maula hai Ahmad-e-Noori
Zaiqa un ka ta zabaan hi nahin Dil se shaida hai Ahmad-e-Noori
Be-taqiya bana karen ayyar Marg-e-Shia hai Ahmad-e-Noori
Be-mahasin hain peer choti ke Mard-e-haq ka hai Ahmad-e-Noori
Yaan nahin kufr pe chamr-e-tauheed Khaas banda hai Ahmad-e-Noori
Kho ke sudh-budh bane Sanichar-peer Haq ka jum'a hai Ahmad-e-Noori
Bad-mazaqon ko tera shahd hai talkh Un ko safra hai Ahmad-e-Noori
Jalte hain tere garm charche se Un ko sauda hai Ahmad-e-Noori
Ae ilm taziayon ke majre se door Tujh ko majra hai Ahmad-e-Noori
Shab-e-baatil ka ab sawera hai Haq ka tarka hai Ahmad-e-Noori
Zulmat-e-gham to aur mujh ko diya hai Mera mawa hai Ahmad-e-Noori
Teri rahmat pe teri ne'amat par Mera da'wa hai Ahmad-e-Noori
Jis ka main khana-zaad us ka tu Pyara beta hai Ahmad-e-Noori
Mere aaqa ka tujh pe aur tera Mujh pe saya hai Ahmad-e-Noori
Teera-bakhti ne kar diya andher Der ab kya hai Ahmad-e-Noori
Noor-e-Ahmad mujhe bhi chamka de Naam tera hai Ahmad-e-Noori
Laakh apna banayen ghair usse Phir hamara hai Ahmad-e-Noori
Doodh ka doodh paani ka paani Karne-wala hai Ahmad-e-Noori
Wird kho de ke khwahishon ne bohat Dil dukhaya hai Ahmad-e-Noori
Tu hansa de ke nafs-e-bad ne sitam Khoon rulaya hai Ahmad-e-Noori
Khak hum ne udai yunhin sahi Tu to darya hai Ahmad-e-Noori
Khandani karam qadeemi jood Tera hissa hai Ahmad-e-Noori
Potron ka kareem ibn-e-kareem Karam-aama hai Ahmad-e-Noori
Mere haq mein mukhalifon ki na sun Haq yeh mera hai Ahmad-e-Noori
Itna keh de Raza hamara hai Paar beera hai Ahmad-e-Noori
Hain Raza kyun malool hote ho Haan tumhara hai Ahmad-e-Noori





