Mah-e Rabi' al-Awwal aya Rabb ki rehmat saath mein laaya
Waqt mubarak raat sohani Subah ka tarka hai noorani
Peer ka din tareekh hai baarah Farsh pe chamka arshi tara
Aaj ki raat baarat rachi hai Aminah ke ghar dhoom machi hai
Ghar mein hoorain dar-pe malak hain Jin ki qatarein ta bah falak hain
Thandi hawa ka jhonka aaya Shor macha ek salli 'ala ka
Lo woh uthi gird-e-sawari Paida huaye mehboob-e-Bari
Tum bhi uthho ab waqt-e adab hai Zikr-e wiladat Shah-e-Arab hai
Takht hai un ka taj hai un ka Dono jahan mein raj hai un ka
Oonche oonche yahan jhakte hain Sare unhi ka munh takte hain
Kaaba ki zeenat un ke dam se Tayyiba ki ronaq un ke qadam se
Kaaba hi kya saare jahan mein Dhoom hai un ki kon-o-makan mein
Aminah bi ko laal mubarak Dai Halima ko baal mubarak
Tum ko Khalilullah mubarak Tum ko Zabihullah mubarak
Dar pe hain hazir apne paraye Aap ke dam se aas lagaye
Chashm-e karam lillah idhar ho Saalik-e khasta par bhi nazar ho





