Lamhay lamhay mein hai khushbu bhini bhini aap ki Jaan-e-rehmat, Rehmat-ul-lil-Aalameeni aap ki
Goonjti hai mashriq-o-maghrib mein aawaz-e-Hira Baithti hai khaak par Sidra-nashini aap ki
Is jahan mein bhi hain zinda aap ke sadqay mein hum Aakhirat mein bhi shafa'at hai yaqeeni aap ki
Hashr tak ki na'amaton ke aap qasim hain Huzoor ﷺ Shana-e-aafaaq par rakhi hai sini aap ki
Arsh se paataal tak hain aap ke naqsh-e-qadam Chhor de peeche abad ko door-bini aap ki
Qurb-e-Haq itna ke daahri jaise ho jaaye kamaan Saltanat hai aasmani-o-zameeni aap ki
Kam hai jitna bhi Muzaffar shukr Allah ka karay Mohsin-e-aalam hai aalam-aafarini aap ki





