Lab-e-jaan-bakhsh ka ae jaan mujhe sadqa de do Muzdah-e-aish-e-abad jaan-e-Maseeha de do
Gham-e-hasti ka madawa mere Maula de do Baadah-e-khas ka ik jaam chalakta de do
Gharq hoti hui naao ko sahara de do Mauj tham jaaye khudara yeh ishara de do
Hum gunahgar sahi Hazrat-e-Rizwan lekin Un ke bande hain jinan haq hai hamara de do
Tapish-e-mehar-e-qayamat ko sahein hum kaise Apne daaman-e-karam ka hamein saaya de do
Bhool jaaye jise pee kar gham-e-dauraan Akhtar Saqi-e-Kausar-o-Tasneem woh sehba de do





